RAFAYADAIN TARK KARNE QURAN KI TAFSEER SE

Humney Issey Qabl Ghairmuqallid Rawafiz Ko Humari Daleel # 2 Par Aitraz Ka Dandaan Shikan Jawab Diya Tha.
Hazrat Abdullah Bin Masood (rez.) Se Marwi Tarkrafulyadein Ki Sahi Tareen Hadees Par Rawafiz Ke Aitrazat Ke Jawabaat!
Ab Daleel # 1 Par Aitraz Ka Jawab Mulahiza Farmayein.
Daleel # 1 :
Ayat E Qurani = “Kamiyab Hogaye Wo Momin. Jo Apni Namazon Mein Khushu’ Karney Waley Hain.” [Suratul Mo,Minoon 1 - 2]
Is Ayat Ki Tafseer Mein Hazrat Tajul Mufassireen Hazrat Ibne Abbas Rz.A. Farmatey Hain :
“Khushu’ Karney Walo Se Murad Wo Log Hain Jo Namaz Mein Tawazo’ Aur A’jizi Ikhtiyar Kartey Hain Aur Wo Dayen Bayen Tawajuh Nahi Kartey Aur Na Hi Namaz Mein Rafulyadein Kartey Hain.”
[Tanveerul Muqbas Min Tafseer Ibne Abbas Rz.A, P#212]
Is Ayat Ka Batini Hukum Zahir Kartey Hue Hazrat Ibne Abbas Rz.A. Ne Farmaya Ke Kamiyab Momineen Mein Wo Log Bhi Hain Jo Apni Namazon Mein Rafulyadein Nahi Kartey. Lihaza Ye Ayat Apni Tafseer(Jo Ke Sahabi Se Marvi Hai) Ki Bina Par Tark Rafulyadein Ki Daleel Bhi Hai Aur Tark Rafulyadein Ki Ahadees Ki Tayid Bhi Karti Hai. Falilhamdulillah!!!
Janab! Yahan Ek Aur Amar Bhi Qabile Ghaur Hai Aur Wo Ye Ke Sahabi Ki Tafseer Marfu’ Ke Hukum Mein Hoti Hai Yani Sahabi Jo Tafseer Karta Hai Wo Allah Ke Rasul S.A.W Ka Qaul Hota Hai…Ye Usool Hai…Mulahiza Ho:
“..Sahabi Ki Tafseer Musnad Hai (Yani Rasul S.A.W Ka Farman Hota Hai) Aur Sahabi Ki Tafseer Hujjat Bhi Hai Aur Sahabi Ki Tafseer Marfu’ Hoti Hai(Yani Rasul S.A.W. Ka Qaul Hota Hai).”
Ye Qanoon Dekhiye…Ahle Sunnat Ki Kutub Mein:
1 [Mustadrak Alhakim-J1, P123]
2 [Muarifat Uloomul Hadees-P20]
3 [Za’adul Mu’ad Az Ibne Qayum-J4 P52]
4 [Tadreebur Rawi-P65]…Waghera…!
…Ghermuqallideen Ki Kitab Mein:
[Aljunnah Az Nawab Siddiq Hasan Khan Ghermuqallid-Page96]…Waghera…!
>Lihaza Humari Aur Gher Muqallidon Ki Kutub Se Pata Chala Ke Sahabi Jo Tafseer Karta Hai Wo Asal Mein Marfu’ Yani Rasul S.A.W Ke Qaul Ke Hukum Mein Hoti Hai Lihaza Humari Pesh Kardah Hazrat Ibne Abbas Rz.A. Ki Tark Rafulyadein Wali Tafseer Hukman Rasulallah S.A.W Ka Hi Qaul Yani Musnad O Marfu’ Sabit Hua…Is Waja Se Ye Ayat Humari Mazeed Wazni Daleel Bangayi Kyunke Iski Tark Rafulyadein Wali Tafseer Marfu’(Yani Rasul S.A.W Ka Farman) Jo Thehri…Falilhamdulillha!!!
Aitrazate Rawafiz E Ghermuqallidiyah Laa Mazhabiyah
Ali Zayi Kazzab Aur Uske Khabees Muqallideen Ne Is Tafseer Par 2 Aitrazat Kiye Hain, Aitrazat Ma’a Jawabat Mulahiza Farmayein:
1 = Aitraz E Awal :
Ali Zayi Matruk O Kazzab Likhta Hai…
“(Iliyas Ghuman D.B. Ne)Surah Mominun Ki Pehli 2 Ayaat Likhi Hain Jin Mein (Ruku Se Pehley Aur Ruku Ke Baad Waley) Tark Rafulyadein Ka Naam O Nishan Tak Nahi…”

Al-Jawab:

Najaney Zayi Aur Iske Rawafiz Ka Aitraz Kartey Waqt Dimagh Waqayi Muaf Hokar Kaam Karma Chordeta Hai Ya Drama Bazi Phelayi Hui Hai Samajh Se Bahir Hai…! Ali Zayi Aur Uske Rafzi Khabees Muqallideen Ka Ye Aitraz Sarasar Jihalat Par Mubni Aur Kazzab Hai…Kyunke…
1) Inhi 2 Ayaat Se Zara Neechey Mulahiza Farmayein Hazrat Ibne Abbas Rz.A. Se Marwi Inhi Ayaat Ki Tafseer Mojud Hai Is Tafseer Mein [Naa Hi Namaz Mein Rafulyadein Kartey Hain] Ke Wazeh Alfaz Mojud Hain.. Humara Istadlal In Ayaat Se Is Tafseer Ki Bina Par Hai…Humne Kab Aur Kahan Kehdiya Ke Is Ayat Ke Matan Mein Tark Rafulyadein Ka Sarih O Zahiri Zikar Hai???Humara Istadlal To Batini Hukum Se Hai!!! Lanatullahi Alal Kazibeen!!!
2) Naa Hi Namaz Mein Rafulyadein Kartey Hain] Ke Lafaz Se Namaz Ke Andar Paye Janey Waley Har Rafulyadein Ki Nafi Bakhubi Hojati Hai Phir Chahey Wo Ruku Wala Ho Ya Sajdey Wala Ho, Teesri Rakat Ke Shuru Wala Ho Ya Dusri Aur Chohnti Rakat Ke Shuru Wala Ho Sabki Nafi Hojati Hai..Alag Se Har Rafulyadein Ko Zikar Karneki Zarurat Nahi Kyunke Sab “Fiss Salah” Mein Dakhil Hain. Jistarha “Laa Ilaha Illallah” Mien “Laa” Se Har Mabud E Batilah Ki Nafi Hojati Hai Phir Bhaley Wo Firon Ho Ya Laat Ho Ya Dajjal Ho, Har Ek Ka Alag Zikar Zaruri Nahi……..Zayi Matrook O Kazzab Aur Uske Muqallideen Rawafiz Se Guzarish Hai Ke Jawab Dene Se Pehley Thora Kutube Usool Ka Bhi Mutal’ah Karliya Karein Takey Baad Mein Zillat Na Uthani Parey…!!!
2 = Aitraz E Daum:
Phir Zayi Kazzab O Matrook Ne Aagey Likha Hai Ke
“Is [Tafseer E Ibne Abbas] Ka Markazi Rawi “Mohmmed Bin Marwan Assudi Assagheer” Kazzab Hai Aur Baqi Ki Sanad Bhi “Silsilatulkazib” Hai.”
Aur Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahib D.B. Ne Likha Hai Ke “Iski Sanad Zaeef Hai Kunke Ye Nuskha Mohemmed Bin Marwan Assudi Assagheer A’n Abi Sualeh Ki Sanad Se Hai Aur Is Silsile Ko Muhaddiseen Ne Silsilatul Kazib Qarar Diya Hai.” [Fatawae Usmani , J#1 P#215].
Al-Jawab:
Jawab Se Qabal Chand Tamheedi Baatein Zehan Nasheen Farmalein:
Aisa Mumkin Hai Ke Ek Admi Ek Fan Mein Mahir, Siqah Aur Muattabar Ho, Bayina Wohi Admi Dusrey Fan Mein Kamzor, Zaeef, Matrook Aur Kazzab Tak Ho…..Yani Ek Fan Ka Mahir Zaruri Nahi Dusrey Fan Mein Bhi Mahir Ho…Kutube Isma O Rijjal Dekhney Se Ye Baat Wazeh Hojati Hai…Chand Misaalein Mulahiza Hon…:
1) Hazrat Imam Bukhari R.A : Aapki Taleef “Altareekhul Kabeer” Ko Fan E Tareekh Mein Wo Darja Hargiz Hasil Nahi Jo “Sahi Bukhari” Ko Fan E Hadees Mein Hasil Hai.
2) Mohemmed Bin Ishaq Bin Yasar : Fan E Hadees Mein Aemma Karam Ne Inko Kazzab Aur Layesa Bil Qawi Waghera Farmaya Hai [Az Zuafa Wal Matrukeen Ibne Al Jouzi, J#3 P#41]….Lekin Isi Mohemmed Bin Ishaq Ko Ilm E Mughazi Ka “Imam” Aur “Marja’a” Kaha Gaya Hai.[Tazkiratul Huffaz Lil Zehbi, J#1 P#130].
3) Asim Bin Abi Annujood Al Kufi : Hafiz Ibne Hujar R.A. Inkey Barey Mein Farmatey Hain “Lahu Auwham” Lekin Fane Qirat Mein Hujjat Qarar Detey Hain. [Taqreebut Tehzeeb P#472]
4) Hafas Bin Suleman Al Asadi : Imam Zehbi Shafayi R.A. Ne Aemma Ki Juruh Naqal Karney Ke Baad Farmaya Ke “…Ye Fan E Qirat Mein Siqah, Sabat Aur Zabit Hai Bakhilaf Fan E Hadees Ke, Us Mein Aisa Nahi Hai Ye.”
[Muarfatul Qira, Al Kubbar, J#1 P#140]
5) ‘Eesa Bin Maena Al Madini : Imam Zehbi Shafayi Farmatey Hain Ye Fan E Qirat Mein To Muattabar Hain Lekin Fan E Hadees Mein Naqabile Aitbar Hain.
[Meezanul Aitadal, J#3 P#327]
6) Muqatil Bin Suleman : Hafiz Khaleeli Farmatey Hain Ke Ye Ulamae Tafseer Ke Haan Azeemush Shan Muqam O Martabey Ke Malik Hain Lekin Huffaz E Hadees Ne Inko Riwayat Mein Zaeef Qarardiya Hai.
[Irshadul Khaleeli, J#3 P#928]
7) Imam Ibne Hujar , Imam Behaqi Aur Imam Zehbi R.A. Ne Imam Jirah O Tadeel Imam Yahiya Bin Sa’eed Alqatan Al-Hanafi R.A. Ke Hawaley Se Ye Usool Naqal Kia Hai….
“Aemma Ne Fan E Tafseer Mein Aisey Logon (Ki Maruyat) Ke Barey Mein Narmi Ikhtiyar Ki Hai Jinko Hadees Mein Muattabar Qarar Nahi Detey. Phir (Yahiya Bin Sa’eed Alqatan Ne)…
Lais Bin Abi Suleim,
Juwebar Bin Saeed Aur
Mohemmed Bin Saib Kalbi
…Ka Naam Liya Aur Farmaya Ke In (Jesey) Hazrat Ki Naqal Kardah Hadees Qabil E Muddah O Hujjat Nahi Albatta Inki Tafseer Likhi Jayegi.(Pata Chala Ke Tafseer Mein Ye Hazraat Hujjat Hain.)”
Dekhiye…
1 [Dalailun Nabuwah Lil Behaqi, J#1 P#33]
2 [Meezanul Aitadal Lil Zehbi, J#1 P#391]…Aur…
3 [Tehzeebut Tehzeeb Al Ibne Hujar, J#1 P#594]…!
>>>Mandarjahbalah Tamheedi Hawalon Ko Parhney Ke Baad Ye Baat Noor E Aftab Ki Tarha Roshan Hojati Hai Ke Ek Shakhs Agar Kisi Ek Fan Mein Matrook Aur Zaeef Hai To Hargiz Zaruri Nahi Ke Wo Kisi Dusrey Fan Mein Bhi Zaeef O Matrook Hi Ho! Is Tamheed Ke Baad Ab Jawab Arz Hai….
>>> Janab E Man…!!! Mohemmed Bin Marwan Assudi Assagheer R.A. …. Par Jirah Sirf Aur Sirf Fan E Hadees Ke Aitbar Se Hai, Fan E Tafseer Mein Aap Siqah Aur Sabat Hain. Imam Bukhari R.A. Ne Aapko Fan E Hadees Mein Zaeef Qarar Detey Hue Farmaya Ke
“…Issey Ahadees Hargiz Na Likhi Jayein…!”
[Meezanul Aitadal, J#4 P#263, Tarjumah#7679]
Lekin Fan E Tafseer Mein Aapko “Almufassiru” Aur “Sahibut Tafseer” Jesey Barey Alqabat Se Nawazah Gaya Hai…!
Dekhiye…1 [Tafseerul Minar, J#2 P#361]
…………….2 [Mughani Ul Akhiyar, J#5 P#429]
…………….3 [Shuzratuz Zehab, J#1 P#318]..Waghera…!!!
>>Gher Muqallid Rawafiz Se Arz Hai Ke Hum Mohemmed Bin Marwan Assudi R.A. Ki Tafseer Se Hujjat Pakarrahey Hain Na Ke Hadees Se Lihaza Hum Par Tumhara Mardood Aitraz Siwaye Phoo Ke Fire Ke Aur Kuch Bhi Nahi… Hum Par Aitraz Tab Hota Jab Hum Mohemmed Bin Marwan Assudi Se Riwayat Shudah Hadees Se Istadlal Kartey Jis Mein Wo Zaeef Hain…Jabke Hum Tafseeri Riwayat Se Istadlal Kartey Hain Jis Mein Wo Siqah Aur Almufassir Aur Sahibut Tafseer Hain To Hum Par Aitraz Kesa??? Mufti Taqi Usmani D.B. Ne Bhi Fan E Hadees Ke Aitbar Se Unko Zaeef Kaha Hai Na Ke Fan E Tafseer Ke Aitbar Se Aur Ye Hum Bhi Mantey Hain…!!! Falilhamdulillah!!!
“Uljha Hai Paon Yaar Ka Zulfe Daraz Mein,
Lo Aap Apney Daam Mein Saiyad Agaya…!”
Mazeed Suniye…..Mohemmed Bin Marwan Assudi R.A. Ki Tafseer Se Sirf Humne Hi Nahi Balkey Inse Aur Logon Ne Bhi Tafseer Mein Hujjat Pakri Hai,Jo Ghermuqallidon Ke Haan Bhi Muattabar Hazrat Hain,Aur In Imamon Ka Tafseer Mein Inse Hujjat Pakarna Tafseer Mein Inke Siqah Honeki Bari Daleel Hai…Kin Logon Ne Kis Kitab Mein Hujjat Pakri Hai Bahawala Chand Misalein Mulahiza Farmayein….
1) Imam Ibne Wehab R.A.(Wafat 190 Hijri)…[Tafseerul Quran J#1 P#648].
2) Imam Ibne Jarreer R.A.(W 310 Hijri)…[Tafseer Ibne Jarreer, J#19 P#313]
3) Imam Ibne Al Munzar R.A.(W 318 Hijri)…[Tafseer Ibne Al Munzar, J#1 P#68]
4) Imam Ibne Abi Hatim R.A.(W 327 Hijri)…[Tafseer Ibne Abi Hatim, J#3 P#848]
5) Imam Samarqandi R.A.(W 370 Ya 373 Hijri)…[Tafseerul Samarqandi, J#1 P#15]
6) Imam Bughwi R.A.(W 516 Hijri)…[Tafseer E Bughwi, J#1 P#51]…Waghera…!!!
Umeed Hai Ghermuqallid Rawafiz Ki Samajh Shareef Mein Baat Pewast Hogayi Hogi Ke Mohemmed Bin Marwan Assudi Fan E Tafseer Ke Imam Aur Almufassir Aur Siqah Hain, Haan Fan E Hadees Mein Zaeef Hain. Lihaza Ahnaf Chunkey Inki Tafseer Pesh Karrahey Hain To Unpar Koi Ta’an Nahi! Mazeed Umeed Hai Ke Ye Mandarja Bala Hawaley Jin Mein Dusrey Kuch Mufassir Imamon Ne Bhi Mohemmed Bin Marwan Assudi Se Tafseer Mein Hujjat Pakri Hai Ghermuqallideen Ko Hazam Hojayengey…Inshaallah!!! Falilhamdulillah!!!
Baqi Sanad Ki Behas :
>Baqi Ki Sanad (Mohemmed Bin Saib Kalbi A’n Abi Sualeh A’n Ibne Abbas Rz.A…) Ko Jo “Silsilatul Kazib” Likha Hai Wo Bhi Fan E Hadees Ke Hi Aitbar Se Hai Na Ke Fan E Tafseer Ke Aitbar Se, Tafseer Agar Is Sanad Se Li Jaye To Bilkul Sahi Hai…Kyunke…
1) Mohemmed Bin Marwan Assudi Ki Tarha Unke Ustad “Mohemmed Bin Saib Kalbi” Aur Phir “Abu Sualeh” Bhi Tafseer Ke Imam Aur Tafseer Mein Hujjat Hain..
Chunacha…In Dono Hazraat Ko Bhi Aemma Ne Mufassir Ke Tor Par Hi Zikar Kia Hai Jo Inke Tafseer Mein Hujjat Honeki Daleel Hai.
Dekhiye…
1 [Tehzeebut Tehzeeb, J#1 P#389]
2 [Alkamil Ibne Adi, J#6 P#2132]
3 [Meezanul Aitadal, J#3 P#556]..Aur…
4 [Muarfatus Siqat Lil’ajali, J#1 P#242]…Waghera…!
2) Balkey Imamul Aemma Yahiya Bin Sa’eed Alqatan Alhanafi R.A. Ne To Mohemmed Bin Saib Kalbi Se Tafseer Riwayat Karneko 100% Jayiz Qarar Diya Hai Haan Hadees Mein Zaeef Farmaya Hai(Jo Ke Hum Bhi Manrahey Hain) Jesa Ke Humne Aitraz 2 Ka Jawab Shuru Karne Se Pehley Tamheedi Niqat Main Number 7 Pe Yahiya Bin Saeed Alqatan Ka Qaul Bahawala Naqal Kardiya Hai Wahin Mulahiza Farmalein…!
3) Aur Abu Sualeh R.A. Ko Bhi 100% Siqah Qarar Diya Gaya Hai.
[Muarfatus Siqat Lil’ajali, J#1 P#292].
4) Tamheedi Niqat Mein Humney Kuch Misalein Dekar Yahi Sabit Kia Tha Ke Ek Shakhs Kisi Ek Fan Mein Mahir Ho To Zaruri Nahi Ke Dusrey Fan Mein Bhi Mahir Ho Hosakta Hai Wo Tafseer Mein Mahir Aur Siqah Ho, Aur Hadees Mein Matruk Aur Zaeef Ho…Lihaza Is Sanad {Mohemmed Bin Marwan A’n Saib Kalbi A’n Abi Sualeh A’n Ibne Abbas Rz.A.} Se Aagar Hadees Lein To Wo Matruk O Zaeef Hogi, Lekin Isi Sanad Se Agar Tafseer Lein To Wo Sahi Aur Siqah Hogi Kyunke Is Sanad Ka Har Rawi Mashur Mufassir Aur Tafseer Ka Imam Hai Hadees Ka Nahi Jesa Ke Humne Uppar Ki Behas Mein Sabit Kia…Falilhamdulillah!!!
5) Mazeed Mazedar Baat Ye Ke Mohemmed Bin Marwan Ki Tarha Is Sanad(Saib Kalbi A’n Abu Sualeh A’n Ibne Abbas) Se Imam E Azam Abu Hanifa R.A. Ne Bhi Tafseer Li Hai….Mulahizah Farmayein…
> [Musnad E Imam E Azam,P#535 (Mutarajim Molana Zafar Iqbal), Baab=“Wehshi Bin Harab Ne Islam Kesey Qabul Kia?”, Kitabut Tafseer]<
{Abu Hanifa A’n Mohemmed Bin Saib Kalbi A’n Abi Sualeh A’n Ibne Abbas………..}
>To Janab!!! Pata Chala Ke Imam E Azam Abu Hanifa R.A. Bhi Is Sanad Ko Tafseer Mein Hujjat Mantey Hain Tabhi Riwayat Bhi Farma Rahey Hain, Lihaza Ye Sanad Hadees Mein Zaeef Aur Tafseer Mein Hujjat Sabit Hui.Baqi Mohemmed Bin Marwan Ka Tafseeli Tazkirah Hum Pehley Hi Karchukey Hain Yahan Issey Agey Ki Sanad Ki Bhi Tehqeeq E Mukhtasar Mukammal Hui…!

Akhir Mein Intihayi Eham Tareen Baat :
Akhir Mein Hum Hazrat Ibne Abbas Rz.A. Ki Is Tark Rafulyadein Ki Tafseer E Sahiha Ki Tayid Mein Mashur Siqah Taba’i Hazrat Hasan Basri R.A. Se Naqal Kartey Hain….Mulahiza Ho…
Hazrat Hasan Basri R.A. Bhi Hazrat Ibne Abbas Rz.A. Ki Tarha Surah Mo,Minoon Ayat 1 – 2 Ki Tafseer Kartey Hue Farmatey Hain:
“(Is Ayat Mein) “Khawshi’oon” Se Murad Wo Log Hain Jo Sirf Takbeer E Tehreema Ke Waqt Rafulyadein Kartey Hain.”
[Tafseerul Samarqandi,J#2 P#408, Taba' Beroot]
>Hazrat Hasan Basri R.A. Ne Bhi Hubahu Wohi Tafseer Farmayi Jo Janab Ibne Abbas Rz.A. Se Sahi Tafseeri Sanad Se Marwi Hai. Hazrat Hasan Basri R.A. Ki Tafseer 100% Humari Hazrat E Ibne Abbas Rz.A. Ki Tafseer Ki Tayid Karti Hai, Lihaza Hazrat E Ibne Abbas Rz.A. Ki Tafseer Har Aitbar Se Sahi Sabit Hui…!!! Tafseer E Ibne Abbas Rz.A. Humari Buhat Bari Daleel Hai, Jiske Tawassut Se Quran Pak Ka Batini Hukum Tark Rafulyadein Ka Zahir Hua Aur Quran Jesi Azeem Kitab Se Humein (Tark Rafulyadein Yani) Sunnat E Rasul S.A.W Ki Daleel Milgayi… Falilhamdulillah…!!!
>Allah Humein Samajhney Ki Aur Phir Amal Karneki Tofeeq Naseeb Farmaye…Aur Ghermuqallidi Rafziyat Laa Mazhabiyat Fitna E Azeem Se Panah Mein Rakhey…Ameen!!! Umeed Kartey Hain Ke Ghermuqallid Rawafiz La Mazhabon Ko Jawab Pasand Ayega…!
Note: Ghermuqallidon Ke Haliya Baap Ali Zayi Ne Aur Bhi Kuch Bilkul Be Dhangey Aitrazat Yahan Kiye Hain (Jinka Koi Sar Paer Nahi Hai) Lekin Chunkey Is Facebook Ke Post Mein Amer Mohammed Naami Rafzi Ne Sirf Ye Asal Aitrazat Hi Naqal Kiye Hain Isiliye Humne Bhi Inhi Ke Jawabat Par Iktifa Kia Hai…Agar Koi Ghermuqallid Mazeed Aitraz Karma Chahey To Shoq Se Karey Inshaallah Uska Bhi Jawab Ajayega! Lihaza Koi Kisi Bilawaja Ki Khush Fehmi Mein Na Hi Rahey To Behtar Hai…!!!
* Na Tum Ta’ney Humein Detey, Na Hum Fariyad Kartey,
Na Khultey Raaz Sarbasta, Na Yun Ruswaiyaan Hotin…*

Post a Comment

Previous Post Next Post