TARK-E-RAFAYADAIN PAR ABDULLAH IBN MAS'OOD r.a WALI SAHI HADEES PAR AITRAZ KE JAWABAT

Rafaul-Yadain ke Silsile se ek Sahi Hadees ko Apne nafsaniyat ka sikar banakar kitna bada Zulm dhaya hai nafs parast jahilon ne uska ek chota sa Jaiza yaha pesh kia ja raha hai.
SANAD: Ahmed bin Shu’aib An-Nasa’i – Suweid bin Nasr – Abdullah bin Mubarak – Sufyan (Sauri) – Aasim bin Kulaib – Abdur Rahman bin Al-Aswad – Alqamah (rahmatullahi alaihim)
HADEES: Faqeehul Ummat Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raziallahu ta’la anhu) ne farmaya: “Kya Main Tumhein Is baat ki Khabar Na doon ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) Namaz Kaise Parhte the.? Hazrat Alqamah (rah.) farmate hain ke Hazrat Ibn-e-Mas’ood (raz.) Khade hue Pehli Martabah RafaulYadain kiya (Ya’ni Takbeer Tehreemah ke waqt) Phir (Poori Namaz me) RafaulYadain Nahi kiya.” [Sunan Nasa'i, Sunan Abu Dawood, Tirmizi, DarQutni waghera]
Ghair-Muqallid ko Jab oper wali Hazrat Ibn-e-Mas’ood (raz.) ki Tark Rafaul-Yadain Qabl Ar-Rukoo’ wa Baa’d Ar-Rukoo’ waali Hadees ko Thukraana tha to Hazrat Sufyan Sauri (رحمہ الله) ko Nishana banaya.
Chunancha Ghair-Muqallid, Zubair Ali Za’i ne likha: “Sufyan Sauri (رحمہ الله) Mudallis hain” [Noorul Ainain pg137] “Mudallis Raavi ki (AN) wali rivayat Na Qabil-e-Hujjat ya’ni Za’eef hoti hai” [Anwar ul Tareeq Jawab Al-Jawab Noor Ul Ainain pg7] 
JAISA KE HUM DEKH RAHE HAIN KE GHAIR-MUQALLID RAWAFIZ (NAAM NIHAAD AHL-E-HADEES) NE HAMARI PEISH KARDAH SAHEEH HADEES KO 2 WAJOOHAAT KI BINA PAR ZA’EEF KAHA HAI. WO WAJOOHAAT AUR UNKE SATH SATH UNKE JAWABAAT MULAHIZAH FARMAYEIN..
(I) WAJAH-E-AWWAL:
PEHLI WAJAH YE HAI KE, IS HADEES KI SANAD ME SUFIYAN SAURI (Rah.) HAIN JO KE MUDALLIS HAIN AUR LAFZ “AN” (عن) SE RIVAAYAT KAR RAHE HAIN, AUR MUDALLIS JAB LAFZ “AN” SE RIVAYAT KAREY TO WO HADEES ZA’EEF HO JATI HAI.
AL-JAWAB:
TADLEES karne waale ko MUDALLIS kehte hain aur MUDALLIS wo Raavi hai Jiski Ye Aadat ho ke Wo Apne Sheikh ka Ya Sheikh ke Sheikh ka Naam chhupa leta ho (Ya’ni Sheikh ka Naam liye baghair Hadees ko bayan karta ho).
Fareeq-e-Mukhalif Chhotey Rawafiz ko Agar Ye baat Nahi pata to Hum bata dete hain ke Mudalliseen ke TABQAAT hote hain Lihaazah Har Mudallis ki “AN” se rivayat shuda Hadees Za’eef Nahi hoti. Sufyan Sauri (rah.) AALA Darjah ke SIQAH aur Sachchey hain. Aap ka “AN-‘ANAA” Qabil-e-Muzar Nahi. Aur Jaahil Mukhalif ko Hum Ye baat bhi Zehan Nasheen karaana chahte hain ke Hazrat Sufyan Sauri (rah.) [SAHIH BUKHARI] aur [SAHIH MUSLIM] dono Kitabon ke AALA Raavi (Narrator) bhi hain..
Mazeid suniye…. Agar hamari Ye peish kardah rivayat Sufyan Sauri (rah.) ke “AN-‘ANAAH” ki wajah se ZA’EEF hai Tab to [SAHIH AL-BUKHARI] wa [SAHIH MUSLIM] ki kayi Ahadees ZA’EEF ho Jayengi Kyonke Sufyan (rah.) ke “AN-‘ANAAH” wali rivaayaat BUKHARI wa MUSLIM me bhi moujood hain…..!!!
Kyon Yaqeen Nahi aa raha Ghair-Muqallid Rawafizo’n?? Lo.!! Hum Yahan Kuch HAWALAAT [SAHI BUKHARI] wa [SAHIH MUSLIM] ke peish karte hain Jahan SUFYAN SAURI (rah.) “AN” ke sath rivayat karte hain..
Mulaahizah farmayein..
SUFYAN SAURI (Rah.) KA “AN” SE RIVAYAT KARNA SAHEEH BUKHARI ME:
1) Sufyan Sauri (rah.) ne Al-Aa’mash (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ عَنْ الْأَعْمَشِ) se rivayat ki hai. [Baab: Alaamatil Munaafiq – Kitab: Al-Eimaan]
2) Sufyan Sauri (rah.) ne Ibne Abi Khaalid (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ عَنْ ابْنِ أَبِي خَالِدٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Al-Ghazabi Fil Mau’izah Wa At-Ta’leem – Kitab: Al-Ilm]
3) Sufyan Sauri (rah.) ne Amr bin Aamir (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ عَنْ عَمْرِو بْنِ عَامِرٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Al-Wuzoo’ Min Ghairi Hadas – Kitab: Al-Wuzoo’]
4) Sufyan Sauri (rah.) ne Humaid (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ عَنْ حُمَيْدٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Al-Buzaaqi wa Al-Mukhaat – Kitab: Al-Wuzoo’]
5) Sufyan Sauri (rah.) ne Abdul Azeez bin Rafee’ (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ الثَّوْرِيُّ عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ رُفَيْعٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Man Salla Al-Asr – Kitab: Al-Hajj]
6) Sufyan Sauri (rah.) ne Qais bin Muslim (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ الثَّوْرِيُّ عَنْ قَيْسِ بْنِ مُسْلِمٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Hajjat Al-Widaa’ – Kitab: Al-Maghaazi]
SUFYAN SAURI (Rah.) KA “AN” SE RIVAYAT KARNA SAHEEH MUSLIM ME:
1) Sufyan Sauri (rah.) ne Al-Aswad bin Qais (rah.) se “AN” (سُفْيَانَ الثَّوْرِيِّ عَنْ الْأَسْوَدِ بْنِ قَيْسٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Ad-Daleel Liman Qaala As-Salaat Al-Wustaa – Kitab: Al-Masaajid]
2) Sufyan Sauri (rah.) ne Isma’eel bin Umayyah (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ الثَّوْرِيُّ عَنْ إِسْمَعِيلَ بْنِ أُمَيَّةَ) se rivayat ki hai. [Kitab: Az-Zakaath]
3) Sufyan Sauri (rah.) ne Abi Hussain (rah.) se “AN” (سُفْيَانُ الثَّوْرِيُّ عَنْ أَبِي حَصِينٍ) se rivayat ki hai. [Baab: Hadd Al-Khamr – Kitab: Al-Hudood]
4) Sufyan Sauri (rah.) ne Talha bin Yahya (rah.) se “AN” (سُفْيَانَ الثَّوْرِيِّ عَنْ طَلْحَةَ بْنِ يَحْيَى) se rivayat ki hai. [Baab: Ma’na Kulla Maulood Yooladu Alal Fitrah – Kitab: Al-Qadar]
5) Sufyan Sauri (rah.) ne Ubaid Al-Muktib (rah.) se “AN” (سُفْيَانَ الثَّوْرِيِّ عَنْ عُبَيْدٍ الْمُكْتِبِ) se rivayat ki hai. [Kiatb: Az-Zuhad War Raqaa’iq]
6) Sufyan Sauri (rah.) ne Al-Aa’mash wa Mansoor (rah.) se “AN” (سُفْيَانَ الثَّوْرِيِّ عَنْ الْأَعْمَشِ وَمَنْصُورٍ) se rivayat ki hai. [Baab: An-Nahii An Al-Madh; Kiatb: Az-Zuhad War Raqaa’iq]
Umeed hai ke Ghair-Muqallid Rawafiz ko Ye 12 Thos Hawaley Hazam ho jayenge…
[SAHI BUKHARI] wa [SAHIH MUSLIM] ke in 12 Hawaalon se pata chala ke Sufyan Sauri (rah.) ki TADLEES itni Muzar Nahi ke Un ka “AN-ANAAH” ZA’EEF ho Jaaye. Isi liye Imam Bukhari wa Imam Muslim (rah.) ne Inki AN’ANAH wali Rivaayaat ko Apni SAHEEH me Naqal kiya hai. Agar Sufyan Sauri (rah.) ki TADLEES se Hadees ZA’EEF ho Jati hai to Ye A’imma-e-Muhaddiseen Inse Hargiz Rivayat Na karte.
Imam Bukhari (rah.) ne Ibn-e-Mas’ood (raz.) ki Ye Hadees Khud Naqal ki hai Apni Kitab [Juz Al-Rafa’ dayn No. 32] per Lekin Is Hadees ki SANAD per Wo Uff Tak Na kar sake. Ye Is baat ki Daleel hai ke Sufyan Sauri (rah.) ka An-‘anaah Imam Bukhari (rah.) ke Nazdeek Za’eef Nahi hai.
Mudalliseen Ke Tabqaat Hote Hain
AGAR SUFYAN SAURI (Rah.) AWWAL DARJAH KE MUDALLIS NAHI HAIN AUR UNKI “AN-‘ANAAH” SE RIVAYAT SHUDA HADEES ZA’EEF HO JATI HAI JAISA KE LA-MAZHAB, GHAIR-MUQLALID SAABIT KARNA CHAHTEY HAIN TO GHERMUQALLID RAWAFIZ SE HAMAARA SAWAAL YE HAI…
“ZARA JAWAB DEIN KE [BUKHARI WA MUSLIM] KI UN KAYI AHADEES KA KYA BANEGA PHIR, JIN ME SUFYAN SAURI (Rah.) ‘AN SE RIVAYAT KAR RAHE HAIN??”
BAS JO JAWAAB AAP [BUKHARI WA MUSLIM] KI AHAADEES KA DENGEY WOHI JAWAB HAMAARI TARAF SE TARK RAFA’ AL-YADAIN KI IS HADEES KA SAMAJH LEIN..
AGAR [BUKHARI WA MUSLIM] KI AHADEES SUFYAN (Rah.) KE “AN” SE ZA’EEF NAHI HOTI TO HAMARI HADEES BHI HARGIZ HARGIZ ZA’EEF NAHI HOTI….!
“RAWAFIZ! Farmaiye, Qalb Mubarak par Kya Guzri?”
(II) WAJAH-E-DUWWAM:
DOOSRI WAJAH YE BAYAN KI HAI KE JAM’HOOR MUHADISEEN NE IS HADEES KO ZA’EEF QARAAR DIYA HAI PHIR CHAND MUHADDISEEN KE NAAM LIKHE HAIN AUR SAR-E-FEHRIST HAZRAT ABDULLAH BIN MUBARAK (Rah.) KA NAAM HAI..
AL-JAWAAB:
Ghair-Muqallideen ki Ye Daleel bhi Naqis-O-Mardood hai Kyonke..
1)….. Jamhoor-e-Muhadiseen ne Hargiz is Hadees ko ZA’EEF Nahi farmaya hai. Jinhoney Is Hadees me NUQS zaahir kiya hai wo sirf “LAA YA’OOD” ke Allfaaz par hai, Lekin Janab Agar bil-farz Ye Alfaaz hataa bhi diye Jaayein Tab bhi Ye Hadees 100% hamari Daleel hi rehti hai… to Kya faaydah hua ghermuqallid ke Drama karne ka.?
2)….. Jin Muhadiseen ka Naam likha hai Unhoney sirf Matan (Text) me Alfaaz “LAA YA’OOD” par Aitraaz kiya hai Na ke HADEES ko ZA’EEF kaha hai, aur Un ka Aitraaz Kamzor hai Kyon ke Ye Hadees SANAD ke aitbaar se bilkul SAHIH hai aur Ye USOOL-E-HADEES hai ke SIQAH RAAVIYON ki ZYAADATI Qaabil-e-Qubool hoti hai. Pas “LAA YA’OOD” Alfaaz ke sath YE HADEES MATAN (Text) KE LIHAAZ SE BHI BILKUL SAHIH HAI.
3)….. GherMuqallid ZUBAIR ALI ZA’I KAZZAAB ne Ye Jhoot bola tha ke JAM’HOOR MUHADDISEEN ne Is HADEES ko ZA’EEF kaha hai, Jabke mu’amlah iske Ulat hai, JAM’HOOR NE IS HADEES KO SAHIH AUR HASAN MAANA HAI. Kuch Muhadiseen ki TOUSEEQ ba-hawalah mulaahizah farmayein..
USOOL FIQH WA HADEES KA ZAABTAH HAI KE, “Jis Hadees se Koi Faqeeh wa Mujtahid wa Muhaddis Istedlaal kare Wo Uske Nazdeek SAHEEH hai.” [TADREEB AR-RAAVI 1/48; TALKHEES AL-HABEER 2/143; QAWAA’ID FEE ULOOM AL-HADEES]
1= ۔ حضرت ابر اہیم النخعیؒ 96ھ
مسند ابی حنیفہ بروایت حسن ص 13، مسند ابی حنیفہ بروایت ابی یوسف ص21،موطا امام محمدص93، کتاب الحجہ لامام محمد ج1ص96،مسند ابن الجعد ص292، سنن الطحاوی ج1ص162,163، مشکل الآثار للطحاوی ج2ص11، جامع المسدنید ج1ص352، معجم الکبیر للطبرانی ج 22ص22، سنن دار قطنی ج1ص394، سنن الکبری للبیہقی ج2ص81
2= ۔ امام اعظم ابو حنیفہ التابعی ؒ 150ھ
مسند ابی حنیفہ بروایت حسن ص13، مسند ابی حنیفہ بروایت ابی یوسف ص 21، موطا امام محمد ص93، کتاب الحجہ ج 1ص96، سنن الطحاوی ج1ص162، جامع المسانید ج1ص353، الاوسط لا بن المنذر ج3ص148، التجريد للقدروی ج5ص272، حلیة العماءللشاشی ج1ص189، المحلی ابن حزم ج4ص119 ۔ج1ص301، التمیہد ج9ص213، الاتذکار لا بن البر ج4ص 99، مناقب المکی ج1ص130، مغنی لابن قدامہ ج2ص172، دلائل الاحکام ج1ص263، شرح سنن ابن ماجہ المغلطائی ج5ص1466,1467، عمدة القاری ج5ص272
3= ۔ امام سفیان ثوری ؒ161ھ
جز رفع الیدین ص46، ترمذی ج 1ص59، الاوسط لابن منذر ج3ص148، حلیة العماءللشاشی ج1ص189، التجرید للقدوری ج1ص272، شرح البخاری لابن بطال ج 2ص423، التمہید ج 9ص213،الاستذکار ج4ص99، شرح النہ للبغوی ج2 ص24،مغنی لابن قدامہ ج2ص172، دلائل الاحکام لابن شداد ج1ص263، شر ح سنن ابن ماجہ للمغلطائی ج5ص1466، عمدة القاری ج5ص272
4= ۔امام ابن القاسم المصریؒ 191ھ
المدونة الکبری لامام مالک ج1ص71
5= ۔ امام وکیع بن الجراح الکوفی ؒ 197ھ
جزءرفع الیدىن للبخاری ص46، عمدة القاری ج5ص272
6= ۔امام اسحاق بن ابی اسرائیل المروزی ؒ 246ھ
سنن دار قطنی ج1 ص399,400 سند صحیح
7= ۔امام محمد بن اسماعیل البخاری256ھ
جزءرفع الیدین للبخاری ص25، للزئی ص 112
8= ۔ امام ابو داؤد السجستانی275ھ
تاریخ بغداد الخطیب ج 9ص59، تذکرة الحفاظ ج2ص127، النکت لابن حجرص141
9= ۔امام ابو عیسی ترمذی ؒ 279ھ
ترمذی ج1ص59، شرح الھدایہ للعینی ج2ص294
10= ۔ امام احمد بن شعیب نسائی 303ھ
النکت لابن حجر ص165، زہر الربی للسیوطی ص3
11= ۔ امام ابو علی الطوسی 312ھ
مختصر الاحکام مستخرج الطوسی علی جامع الترمذی ج 2ص103، شرح ابن ماجہ للحافظ للمغلطائی ج 5ص1467
12= ۔ امام ابو جعفر الطحاوی ؒ321ھ
الطحاوی ج1ص162، الرد علی الکرانی بحوالہ جوہر النقی ص77,78
13= ۔امام ابو محمد الحارثی البخاری ؒ 340ھ
جامع المسانید ج 1ص353 مکة المکرمة
14= ۔امام ابو علی النسابوری ؒ349ھ
النکت لابن حجر ؒ ص165، زہر الربی علی النسائی للسیوطی ص3
15= ۔امام ابو علی ابن السکن المصری ؒ353ھ
النکت لا بن حجر 164 زہر الربی للسیوطی ص3
16= ۔ امام محمد بن معاویہ االاحمر ؒ 358ھ
النکت لابن حجر ص164، زہر الربی للسیوطی 3
17= ۔امام ابو بکر ابن السنی ؒ 364ھ
الارشاد لامام الخلىلی ص زہر الربی للسیوطی ص 3
18= ۔ امام ابن عدی ؒ365ھ
النکت لا بن حجر ص164 زہر الربی ص3
19= ۔امام ابو الحسن الدار قطنی ؒ 385ھ
کتاب العلل ج 5ص172، النکت ص164 زہر الربی ص3
20= ۔ امام ابن مندة390ھ
النکت لا بن حجر 164، زہر الربی للسیوطی ص3
21= ۔ امام ابو عبد اﷲ الحاکم ؒ 405ھ
النکت لابن حجر ص164 زہر الربی للسیوطی ص3
22= ۔ امام عبد الغنی بن سعید ؒ 409ھ
النکت لابن حجر ص164 زہر الربی للسیوطی ص3
23= ۔ امام ابو الحسین القدوری ؒ 428ھ
التجرید للقدوری ؒ ج2ص518
24= ۔امام ابو یعلی الخلیلی ؒ446ھ
الارشاد للخلیلی ص النکت ص164 زہر الربی للسیوطی ص3
25= ۔ امام ابو محمد ابن حزم 456ھ
المحلی لا بن حزم ج 4ص121 مصر
26= ۔ امام ابوبکر الخطیب للبغدادی ؒ 463ھ
النکت الابن حجر ص163 زہر الربی للسیوطی ص3
27= ۔ امام ابوبکر السرخسی ؒ 490ھ
المبسوط للسرخسی ج 1ص14
28= ۔ امام موفق المکی ؒ568 ھ
مناقب موفق المکی ج1ص130,131
29= ۔امام ابو طاہر السلفی ؒ 576ھ
النکت الابن حجر ص163 زہر الربی للسیوطی ص3
30= ۔ امام ابوبکر کاسانی ؒ587ھ
بدائع الصنائع للکاسانی ؒ ج1ص40
31= ۔امام ابن القطان الفاسیؒ 628ھ
بیان الوھم والا ےھام لابن القطان الفاسی ج3ص367
32= ۔ امام محمد الخوارزمی 655ھ
جامع المسانید
33= ۔امام ابو محمد علی بن زکریا المنجی ؒ686ھ
اللباب فیا الجمع بین السنة والکتاب ج1 ص256
34=۔ امام ابن الترکمانی ؒ745ھ
الجوہر النقی علی البیہقی لا بن الترکمانی ج2ص77,78
35=۔امام حافظ مغلطائی 762ھ
شرح ابن ماجہ الحفاظ المغلطائی ج 5ص1467
36=۔ امام حافظ زیلعی ؒ 672ھ
نصب الرایہ للزیلعی ج1ص396وفی نسخة ج1ص474
37=۔امام حافظ عبد القادر القرشی ؒ 775ھ
الحاوی علی الطحاوی ج 1ص530
38=۔ امام فقیہ محمد البابرقی 786ھ
العنایہ شرح الھدایہ ج1ص269
39=۔ امام فقیہ محمد الکردری 826 ھ
مناقب کردری ج1ص174
40=۔محدث احمد بن ابی بکر البوصیری ؒ 840ھ
اتحاف الخیرة المھرہ للبوصیری ج10ص355,356
41=۔ محدث محمود العینی ؒ 855ھ
شرح سنن ابی داؤد للحافظ العینی ؒ ج 3ص341,342 ، شرح الھدایہ عینی ج2 ص294
42=۔امام ابن الھمام ؒ 861ھ
فتح القدیر شرح الھدایہ لابن الھمام ج1ص269,270
43=۔ملا علی قاری ؒ1014ھ
مرقات ج2ص269، شرح الفقایہ ج1ص257,58، شرح مسند ابی حنیفہ للعلی قاری ص38
44=۔ امام محمد ھاشم السندھی ؒ1154ھ
کشف الدین مترجم لمصمدہاشم السندھی ص15,16
45=۔امام حافظ محدث محمد الزبیدی ؒ 1205ھ
عقود الجواھر المنفىہ للزبیدی
46=۔ امام محمد بن علی النیموی ؒ 1344ھ
آثار السنن مع التعلیق للنمیوی ؒ ص132
47=۔امام حافظ خلىل احمد السہارنفوری 1346ھ
بذل المجھود ج2ص21
48=۔ مولانا انور شاہ کاشمیری ؒ1350ھ
نیل الفرقدین لکشمیری ص56,57,58,64,66,61
49=۔ علامہ ظفر احمد عثمانی ؒ
اعلاءالسنن للعثمانی ؒ ج 3ص45,46
50=۔ امام شیخ الحدیث زکریا المدنی ؒ
اوجز المسالک علی موطا مالک
51=۔علامہ محمد زہیر الشاویش ؒ
تعلیق علی شرح السنة للبغوی ج3ص24بیروت
52=۔ علامہ احمد محمد الشاکر المصری غیر مقلد
الشرح علی الترمذی لا حمد شاکر المصری ج2ص41 دارالعمران بیروت
53=۔علامہ شعیب الارناؤط
تعلیق علی شرح السنہ للبغوی ج3ص24 بیروت
54=۔ الشیخ حسین سلیم اسد
تعلیق علی مسند ابی یعلی شیخ حسین سلیم اسد ج8ص454۔ ج9ص209 دمشق بیروت
55=۔ ناصر الدین البانی غیر مقلد
مشکوة بتحقیق الالبانی ج1ص254بیروت
Ye 55 Muhadiseen (Jinhoney hamari is TARK RAFUL YADEIN wali Hadees ko SAHIH aur HASAN KAHA hai) Is me kuch GHERMUQALLID aur ZAAHIRI bhi hain Jinhoney is Hadees ko SAHIH kaha hai…. Lihazah AAJ KE KISI CHOHREY CHAMAR KI BAKWAS KI KIA AUQAT??? AUR “JUZ RAFULYADEIN” MEIN IMAM BUKHARI (Rah.) NE BHI IS HADEES KO SAHIH MAANA HAI…!!! JAISA KE OOPAR HAWALAH MOUJOOD HAI!!! Falilhamdulillah!!! Ab kia hoga???
ABDULLAH BIN MUBARAK (rah.) Hanafi aur IMAM-E-AAZAM FIL FUQAHA’ Abu Haneefah (rah.) ke Shagird hain aur Imam NAWAWI Ash-Shafa’i (rah.) farmaate hain, “Imam Abu Haneefah (rah.) ka Koi Shagird Rafulyadein Nahi karta.” [Dekhiye Sharah Muslim Imam Nawawi, J#1 P168] Abdullah bin Mubarak (rah.) se Tirmizi me Jis Hadees ke baare me “LAM YASBUT” aaya hai Usko GHAUR se parhein wo ABDULLAH BIN MAS’OOD (raz.) ki “QAULI” Hadees hai aur Humne Jo peish ki hai wo “FAELI” HADEES hai aur ABDULLAH BIN MASUD (raz.) ki is “FAELI” Rivayat ko KHUD ABDULLAH BIN MUBARAK (rah.) NE BHI RIVAYAT KIYA HAI [Dekhein NASA’I J#1 P#117]… Lihazah is Hadees par Abdullah bin Mubarak (rah.) ki koi JARAH Nahi… Agar IBNE MASUD (raz.) ki FAELI HADEES ZA’EEF HOTI jo Humne peish ki to Abdullah bin Mubarak (rah.) isey hargiz rivayat Na kartey, hai ke Nahi???… Aur Imam Tirmizi (rah.) Jinhoney Ibn-e-Mubarak (rah.) Ka “LAM YASBUT” wala Qoul Naqal kiya hai, Wo Khud is Hadees ko HASAN farma rahe hain Jo Hamaari Is baat ko Mazeid TAQWIYAT deti hai. falilhamdulillah!!!
UMEED HAI YE CHOTA SA JAWAB GHERMUQALLIDON KE LIYE SUKOON KA BAYIS HOGA…!!! ALLAH AHLE HAQ KO HAQ PAR HI QAYIM RAKHEY..!! AMEEN!!!

Post a Comment

Previous Post Next Post